Shayri Collection
lambi lambi palkon’ wale tujh par kaisa naam sajega-
lambi lambi palkon’ wale tujh par aisa naam sajega..
lambi palkon’ wale ne is sheher ka dil apnaya hai-
hum baithe ye soch rahe hain’ us par kaisa naam sajega..
dopahar ki garmi hai aur chhaaon’ neem ki thandi hai-
baith hi jaa is chhaaon’ mein’ pagle tujh par ye aaraam sajega..
zakhmi haathon’ se thaam hi lo zakhmi haathon’ ka kya kehna-
kehta hai ye har ek zakhmi mujh par har ek jaam sajega..
bin maange moti milte hain’ maange se milti bheek nahin’-
chheen le aakar dil ko mere tujh par ye ilzaam sajega..
mitti ke jigar tak pahonchne ko logon’ ne maathe tode hain’-
tu bhi haath mein’ teeshaa le le tujh par yahi kaam sajega..
yun teri rehguzar se deewanawaar guzre –
kaandhe pe rakh ke apne apna mazaar guzre..
baithe hain raaste mein’ dil ka khandar sajaa kar –
shaayad isi taraf se ek din bahaar guzre..
daar-o rasan se dil tak sab raaste adhure –
jo aik baar guzre woh baar baar guzre..
behti hui ye nadiyaa, ghulte huye kinaare-
koi to paar utre koi to paar guzre..
masjid ke zer-e saaya baithe to thak thakaa kar-
bola har ek minaaraa tujh se hazaar guzre..
qurbaan is nazar pe maryam ki saadgi bhi-
saaye se jis nazar ke sokardigaar guzre
tu ne bhi hum ko dekha, hum ne bhi tujh ko dekha-
tu dil hi haar guzra, hum jaan haar guzre..
teri aawaz mein’ taare se kyun’ chamakne lage –
kis ki aankhon’ ke tarannam ko chura laayi hai-
kis ki aaghosh ki thandak pe daaka daala hai-
kis ki baanhon’ se tu shabnam ko uthaa layi hai??